ab zoaf se dhahta hai betabi shitabi ki us dil ke tadapne ne kya khana-kharabi ki un daras-gahon mein wo aaya na nazar hum ko kya naqal karun khubi us chehra kitabi ki bhunte hain dil ek jaanib sakte hain jigar yaksu hai majlis-e-mushtaqan dukan kababi ki talkh us lab-e-mai-gun se sab sunte hain kis khatir tah-dar nahin hoti guftar sharabi ki yak bu kushi bulbul hai maujib-e-sad-masti pur-zor hai kya daru ghunche ki gulabi ki ab soz-e-mohabbat se sare jo phaphole hain hai shakl mere dil ki sab shisha hababi ki nash-murda mere munh se yan harf nahin nikla jo baat ki main ne ki so 'mir' hisabi ki