tasht mein dhup ke har-samt zamin hai raushan jagmagata hai makan aur makin hai raushan murgh-o-mahi ke bayan se na gurezan rahna khwan par garche abhi nan-e-jawin hai raushan bosa dete hue patthar ko qadam tez karo darmiyan sang ke ek shahar-e-nagin hai raushan bazm-e-yaran mein machi dhum ne zulmat likkhi narm lahje mein koi gosha-nashin hai raushan raat ke sar pe hai ujla sa dupatta 'jafar' ho na ho sehn-e-mohabbat bhi kahin hai raushan