abad tanha ajal tanha mile sab bahr-o-bar tanha

abad tanha ajal tanha mile sab bahr-o-bar tanha
jahan tak ho saka karta raha main bhi safar tanha

wo hi wo hai udhar tanha main hi main hun idhar tanha
ye tanhai ajab shai hai khuda tanha bashar tanha

basar karta hai muddat se mere jaisa koi mujh mein
use kah do chala jae mujhe wo chhod kar tanha

main teri samt aa jaun ki jaun ghair ki jaanib
kashakash mein hun uljha darmiyan-e-khair-o-shar tanha

ye duniya ganw mein badli hue hain rabte aasan
magar is bhid mein hota gaya ek ek bashar tanha

ye tanhai ye khamoshi ye virani ye andhiyara
isi mahfil mein rahta hun main ab sham-o-sahar tanha

khule hain raaz sab us ke haqiqat hai ayan lekin
ulajhta hai na jaane kyon khayal-e-be-khabar tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close