wahshaton mein ishq ki wo shana farmaenge kya

wahshaton mein ishq ki wo shana farmaenge kya
zindagi uljhi hui hai baal suljhaenge kya

khud hi tum socho jo duniya mein asir-e-zat hain
wo dukhon ki bhid mein aaram pahunchaenge kya

daur-e-istibdad mein ai dil fughan be-sud hai
garmi-e-fariyaad se patthar pighal jaenge kya

sone chandni ki ye nahren ye falak-paima mahal
baad marne ke tere mahshar mein kaam aaenge kya

hum ne sadiyon ka chaman chhoda wafa ki aas par
ab tumhaare des mein bhi thokaren khaenge kya

taqat-e-zabt-o-tahammul kab ki rukhsat ho chuki
na-tawan-e-ishq ko wo aur tadpaenge kya

ai shua-e-mehr-e-taban jalwa-rezi se teri
sang-reze rah ke almas ban jaenge kya

jo musalsal asr-e-nau se barsar-e-paikar hain
wo bhi thak kar waqt ke sanche mein dhal jaenge kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close