abas nahin koi aansu nadamat-e-shab ka ye aaftab sila hai riyazat-e-shab ka hamari aankh mein aae tumhaare nam ke khwab hamein sawab mila hai ibaadat-e-shab ka ye aasman pe lali nahin sawere ki lahuluhan badan hai masafat-e-shab ka nigah rakhni padegi charagh ki lau par khayal rakhna padega zarurat-e-shab ka is imtihan mein aankhen halak hoti hain halaf utha to liya hai hifazat-e-shab ka fasil-e-chashm se bahar nikal gaya aansu farar ho gaya qaidi hirasat-e-shab ka isi liye hai charaghon pe mutmain duniya use pata nahin shayad tabiat-e-shab ka