hawa mein zahr hai har rasta ghubar mein hai darakht phir bhi musafir ke intizar mein hai na lutf sulh mein koi na chhup ke war mein hai maza to jang ka dushman se aar-par mein hai abhi main us ke ghulamon ki hun ghulami mein ye kaenat abhi mere ikhtiyar mein hai isi liye hai nigah-e-sitam chaman-bezar wo rang gul mein nahin hai jo zul-fiqar mein hai jahan se chaha sitara falak se tod liya ye wo hunar hai jo bachpan se khaksar mein hai charagh bechne wale hain sab khasare mein ki faeda to hawaon ke karobar mein hai