abas toda mera dil naz sikhlane ke kaam aata ye aaina tha us khud-bin ko itrane ke kaam aata jalaya mushaf-e-dil tu ne kyun barq-e-taghaful se jo sach bolun tujhe jhuti qasam khane ke kaam aata na malta khak mein us gul ke gham ka ashk agar mera kasi bulbul ke shayad aab aur dane ke kaam aata dil-e-sad-chaak ka shana mera tuta tere hathon wagarna zulf-e-dud-e-ah suljhane ke kaam aata liye 'uzlat' ke mue sar bayaban ke babulon ne jo bachta ye chanwar jarub virane ke kaam aata