ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch le ke piyala gul ka ghuncha ki gulabi tu pahunch bhar ke saghar kijiye khali gham-e-dauran se dil ab na kar takhir ai saqi shitabi tu pahunch pahne qasid jab talak yak-bar sharh-e-ishtiyaq le kar ai betab dil ki iztirabi tu pahunch khwahish-e-dil hai ki kije sair-e-aqlim-e-junun tuk madad ko us ki ai khana-kharabi tu pahunch jae hai tanha shab-e-tarik mein wo mehr-wash aah-e-atish-bar le kar mahtabi tu pahunch ta na phir shair likhen tausif-e-baala-e-butan misra-e-mauzun-o-sher-e-intikhabi tu pahunch jalwa-farma aaj hai takht-e-chaman par shah-e-gul le kar ai paik-e-saba chatr-sahabi tu pahunch musht-e-khak apni ko aalam mein na zaea kar aziz hind se le ta-najaf ai bu-turabi tu pahunch ai 'muhib' khwahish gazak ki ho jo is mai-khwar ko hai tera sina to dukan-e-kababi to pahunch