abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh ki dil ne pala hua hai har ek zat ka dukh talash-e-jannat-o-dozakh mein raegan insan zamin pe roz manata hai kaenat ka dukh kai jhamelon mein uljhi si bad-maza chae udas mez pe daftar ke kaghzat ka dukh gae dinon ka koi khwab dafn hai shayad ki ab bhi aankh se rista hai baqiyat ka dukh main aal se hun shah-e-karbala ki so mujh ko chanab se bhi mila hai wahi furaat ka dukh na jaane malik-e-kun kis tarah nibhata hai ye dastaras ki suhulat ye mumkinat ka dukh