jis ne kiye hain phul nichhawar kabhi kabhi aae hain us ki samt se patthar kabhi kabhi hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi yan tishna-kaamiyan to muqaddar hain zist mein milti hai hausle ke barabar kabhi kabhi aati hai dhaar un ke karam se shuur mein dushman mile hain dost se behtar kabhi kabhi manzil ki justuju mein jise chhod aae the aata hai yaad kyun wahi manzar kabhi kabhi mana ye zindagi hai farebon ka silsila dekho kisi fareb ke jauhar kabhi kabhi yun to nashat-e-kar ki sarshaariyan milin anjam-e-kar ka bhi raha dar kabhi kabhi dil ki jo baat thi wo rahi dil mein ai 'surur' khole hain garche shauq ke daftar kabhi kabhi