abhi aai thi KHwabon mein gai kya

abhi aai thi khwabon mein gai kya
junun mera hai us ki aagahi kya

mohabbat aarzi hai hai to hogi
mujhe duniya mili hai daimi kya

chalo maujon mein ghar karna sikhaen
ki sahil-ashna ye zindagi kya

teri majburiyon se puchhna hai
ye tum hansti ho apni hi hansi kya

idhar diwaren sari gir chuki hain
udhar raste mein duniya aa gai kya

lo pachchhim se nikal aaya hai suraj
to kya wo phir se meri ho gai kya

are o jubba-o-dastar walo
riya-kari hui hai bandagi kya

main chalne ki hi koshish mein gira hun
mere hathon se qismat bhi giri kya

na mera rasta hai aur na manzil
mere allah mujh mein hai kami kya

zaban to hai meri tahzib lekin
adab hi mar chuka to shaeri kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close