baqi hai abhi zulf mein kham aur zara sa ai husn karam aur karam aur zara sa kheme na lagao ki bahut pas hai manzil badhte raho do-chaar qadam aur zara sa sahraon se nikla tha kabhi chashma-e-zamzam aati hai sada aaj bhi tham aur zara sa ek umr sarabon ko samajhte rahe dariya rahne do hamara ye bharam aur zara sa phir chand ne baadal mein chhupa rakkha hai chehra phir hijr ka badh jae na gham aur zara sa jaga hai koi dard to hum jag uthe hain kuchh aur sitam aur sitam aur zara sa aaina-e-dil tutne wala hai sar-e-sham kirchon mein bikhar jaenge hum aur zara sa 'iqbaal' hain umde hue baadal abhi dil mein ai chashm zara aur ho nam aur zara sa