abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko mujhe pagal kiya us ne tamasha dekhne ko wo surat dekh li hum ne to phir kuchh bhi na dekha abhi warna padi thi ek duniya dekhne ko tamanna ki kise parwa ki sone jagne mein mayassar hain bahut khwab-e-tamanna dekhne ko ba-zahir mutmain main bhi raha is anjuman mein sabhi maujud the aur wo bhi khush tha dekhne ko ab us ko dekh kar dil ho gaya hai aur bojhal tarasta tha yahi dekho to kitna dekhne ko ab itna husn aankhon mein samae bhi to kyunkar wagarna aaj use hum ne bhi dekha dekhne ko chhupaya hath se chehra bhi us na-mehrban ne hum aae the 'zafar' jis ka sarapa dekhne ko