dard ki dhup-bhare dil ki tamazat le kar kaise jae koi ehsas ki hijrat le kar phir kahan jaiye ab baithiye matam kije dil ke hathon mein ye anmol sharafat le kar kya kahen ab to nikalna bhi bahut mushkil hai apne kandhe pe khud apni hi zamanat le kar pet ki bhuk tamashe pe tamasha kar le hum thakenge nahin is bhuk ki aadat le kar apne bistar pe kisi raat hamein nind aati aur phir khwab nahin aate zarurat le kar dekhiye sochiye mahsus to hone dije dard ki dhup mein ehsas ki lazzat le kar