abhi abhi hua hum tirgi se nikle hain jahan-e-ishq ki andhi gali se nikle hain kisi se kahte to ilzam apne sar aata ye hadisa tha so hum khamushi se nikle hain hamein yaqin nahin hai kisi dikhawe mein so samt-e-hijr mein hum sadgi se nikle hain nahin hai qaid kisi daere mein apni zat jahan bhi nikle hain aawargi se nikle hain hamari aankh mein tinka pada hai aandhi se kaho na ashk ye bechaargi se nikle hain hamein banae jo shair nahin bana wo gham hamare sher to naraazgi se nikle hain nazir ban chuke hain rah-e-ishq ki 'dakhlan' ye koi pir hain diwangi se nikle hain