zahid na kah buri ki ye mastane aadmi hain tujh ko lipat padenge diwane aadmi hain ghairon ki dosti par kyun e'tibar kije ye dushmani karenge begane aadmi hain jo aadmi pe guzri wo ek siwa tumhaare kya ji laga ke sunte afsane aadmi hain kya juraten jo hum ko darban tumhaara toke kah do ki ye to jaane-pahchane aadmi hain mai bund bhar pila kar kya hans raha hai saqi bhar bhar ke pite aakhir paimane aadmi hain tum ne hamare dil mein ghar kar liya to kya hai aabaad karte aakhir virane aadmi hain naseh se koi kah de kije kalam aisa hazrat ko ta ki koi ye jaane aadmi hain jab dawar-e-qayamat puchhega tum pe rakh kar kah denge saf hum to begane aadmi hain main wo bashar ki mujh se har aadmi ko nafrat tum shama wo ki tum par parwane aadmi hain mahfil bhari hui hai saudaiyon se us ki us ghairat-e-pari par diwane aadmi hain shabash 'dagh' tujh ko kya tegh-e-ishq khai ji karte hain wahi jo mardane aadmi hain