abhi abhi thi labon par hansi abhi na rahi bani thi baat muqaddar se jo bani na rahi bahaar aai gulistan mein dilkashi na rahi nikhaar phulon mein kaliyon mein tazgi na rahi kuduraton ko mitao khulus-e-dil se milo bharosa zist ka kya hai rahi rahi na rahi umid-o-yas ke ghar mein raha qayam apna chale safar pe to ummid-e-wapsi na rahi utha ke aaina dekho zara jamal apna tumhaare husn mein pahli si dilkashi na rahi nazar milai jo un se to ai 'niyaz' laga mizaj-e-yar mein pahli si barhami na rahi