bakhsha gaya hai dil ko wo saman-e-agahi hairat-kada hai dahr ba-unwan-e-agahi aai bahaar jaib-o-gareban pe hath hai ho jae tar tar na daman-e-agahi ek wahm hai ki panw mein dale hai bediyan ek azm hai ki kuchh nahin zindan-e-agahi nai mausam-e-bahaar hai nai baad-e-ku-e-yar mahka gaya hai kaun shabistan-e-agahi dil munharif khayal-e-ghalat pur-hawas nigah dushman bane hue hain bahi-khwan-e-agahi iman muzmahil hai aqidat lahu lahu ho jae pash pash na iqan-e-agahi tufan-e-tund-o-tez sahi dekhte raho bujhne na pae shama farozan-e-agahi