abhi abhi wahi naghma abhi abhi matam abhi abhi wahi shoala abhi abhi shabnam ye bu-e-gul ye salasil ke shor ka aalam bahut qarib hai shayad bahaar ka mausam musafiran-e-mohabbat duaen dete hain ki sham-e-rah bana hai hamara naqsh-e-qadam wo iqtiza-e-mohabbat bhi khub tha ai dost ki be-khudi mein bhi rakhna pada khudi ka bharam nazar tamam mohabbat badan tamam kashish rukh-e-sabih ki ranaiyan tamam iram qarar us ko bhi 'nazim' zara nasib nahin mere junun-e-tajassus ka dekhiye aalam