anjuman se mujhe is tarah uthane wale ungliyan tujh pe uthaenge zamane wale hae kuchh tujh ko nahin meri tamanna ka lihaz meri jaanib se nazar pher ke jaane wale sochta hun ki teri chashm-e-karam hone tak mujh ko afsana bana denge zamane wale raunaq-e-bazm badhana hi nahin kaam apna hum hain sahra ko bhi gulzar banane wale iqtiza waqt ka jo chahe kara le warna hum na the ghair ke ehsan uthane wale kya bataoge sabab girya-e-gham ka 'nazim' puchh baithenge agar tum se zamane wale