abhi baqi sharm thodi haya hai sukhan apna ki dekho sab naya hai safine dur hain waqtan-fawaqtan ye aadam ruk gaya ya chal raha hai o pagal sidh mein rasta nahin hai usi ka dard hai jis ki dawa hai mubarak chiz hai insan hamein bhi kabhi tuk hans raha tuk ro raha hai hamara dil bhi hai andar to jhanko ye chehra sham se hi khush bada hai bala ka zakhm hai kuchh kam tamasha suno to sher ek taza likha hai aban-e-kushta gham achchhi sunao yahan main hun qalam hai aur khuda hai