ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage

ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage
shishagar bhi pattharon se mashwara karne lage

de diya hai tajrabaat-e-zindagi ko rukh naya
aaj hum apne tain har faisla karne lage

masalon ka hal nazar aaega kaise dosto
hum dar-e-aghyar par jab iltija karne lage

is liye wo jujhte hain roz-o-shab haalat se
jo zara si baat par jhagda khada karne lage

ye siyasi log banjaron key tarah dekhiye
bastiyon se dur ja kar ratjaga karne lage

hazrat-e-ayyub ko kya padh liya tum ne 'bahaar'
sabiron ki zindagi par tabsira karne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close