abhi bichhda hai wo kuchh roz to yaad aaega naqsh raushan hai magar naqsh hai dhundlaega ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham sa charagh main nahin hunga to tanhai mein bujh jaega ab mere baad koi sar bhi nahin hoga tulua ab kisi samt se patthar bhi nahin aaega meri qismat to yahi hai ki bhatakna hai mujhe raste tu mere hamrah kidhar jaega apne zehnon mein racha lijiye is daur ka rang koi taswir banegi to ye kaam aaega itne din ho gae bichhde hue us se 'azhar' mil bhi jaega to pahchan nahin paega