hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai khuda ka zikr jab apni zaban se guzra hai lakir khinch ke nur-e-guman se guzra hai mujhe yaqin hai koi aasman se guzra hai chamakta rahta hai donon jahan ki manzil par wo ek shakhs jo har imtihan se guzra hai bas itna bol rahi chaaragar ki khamoshi bala ka dard dil-e-na-tawan se guzra hai to kya hua jo ab aankhon mein qaid hai sahra tere firaq mein dariya yahan se guzra hai usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan bahaar aane se pahle khizan se guzra hai khamosh lahje mein 'azhar' ko hashmi ne kaha tera wajud bhi ek khandan se guzra hai