abhi chaman abhi gul bas yahi saman dekha

abhi chaman abhi gul bas yahi saman dekha
qafas ko bhi meri aankhon ne aashiyan dekha

qafas ko dekh ke jab su-e-ashiyan dekha
zamin se charkh tak uthta hua dhuan dekha

jo kah ke lafz-e-wafa chup raha to wo bole
kahan se chhod di zalim ne dastan dekha

tadap ke aap hi bahar tha aap parde ke
nigah-e-yas se yun su-e-pasban dekha

na puchh dasht-e-tamanna ki wardat na puchh
har ek zarre ke parde mein aasman dekha

tadap naqab ki thi ya jhalak thi parde ki
abhi kalim ne jalwa tera kahan dekha

chhupe the abr ki rag rag mein tar bijli ke
bhari bahaar mein jab su-e-asman dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close