aankhon par aah-e-yas ka parda sa paD gaya

aankhon par aah-e-yas ka parda sa pad gaya
duniya ujad gai ki mera dil ujad gaya

allah kaisa tafraqa marne se pad gaya
main ek sath sare jahan se bichhad gaya

ab soz-e-dil ke naz uthae na jaenge
aansu jahan gira wahin nasur pad gaya

marna pada kise tere zauq-e-gunah se
ai dil khabar bhi hai koi ghairat se gad gaya

aankhon mein ab to aur bhi phirta hai aashiyan
han sun liya bahaar ka khema ukhad gaya

waqt-e-widaa dil pe kuchh aisi guzar gai
ab tak khabar nahin ki main kis se bichhad gaya

wo kaun aur chiz hai aashiq ka dil nahin
jis dil mein ban ke naqsh-e-tamanna bigad gaya

qudrat ne hath chum liye us ke wajd mein
jo naqsh-e-kaenat par aaina jad gaya

duniya karahne ki sada ban ke rah gai
main dil ko marte dekh ke aafat mein pad gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close