abhi dekhi kahan hain aap ne sab khubiyan meri nigahen dhundhti hain aap ki bas khamiyan meri mera kirdar duniyan mein shahadat se munawwar hai nazar aaen falak par sab ko raushan surkhiyan meri wahan barson talak phulon ki kheti hoti rahti hai baras jati hain jin khitton pe ja kar badliyan meri main har neki ko apne dushmanon mein bant deti hun samar-awar raha karti hain is se nekiyan meri zamana chahe jo samjhe ana ke sath zinda hun tumhein bhi jit legi ek din ye khubiyan meri kisi bhi marke par ab talak haari nahin hun main mera zewar raha hai doston khuddariyan meri jise tum rakh samjhe ho abhi tak aag hai us mein kuredo mat jala degi tumhein chingariyan meri 'sabin' aksar main dastarkhawan se uth jati hun bin khae kisi bhuke ke kaam aa jaen shayad rotiyan meri