mubtala-e-itab hain hum log ek asir-e-azab hain hum log apne dil ko itab hain hum log khud sarasar azab hain hum log apni barbaadi apne hathon ki kaise khana-kharab hain hum log apna koi bhi to jawab nahin khud hi apne jawab hain hum log kash nakaamiyan hon pai-dar-pai samjho ki kaamyab hain hum log kah rahi hai jinhen bura duniya wo hi khana-kharab hain hum log apni manzil se hum palat aae aise gumrah janab hain hum log aaj duniya ke samne ai 'raaz' dam-ba-khud la-jawab hain hum log