abhi dil ko kahan rahat mili hai wahi ehsas-e-gham hai gham wahi hai liye jaen kahan tak gham ke tohfe kahan tak aazmaish ki ghadi hai ghuta jata hai dam ab bastiyon mein dhuen ki mauj har ghar se uthi hai bhatakta hai wahi dasht-e-talab mein jo dil diwana-e-asudgi hai nazar aata hai zarra zarra shoala ye kaisi rut hawa kaisi chali hai kisi din be-khabar ho jaun khud se musalsal fikr-e-shorida-sari hai jo yun dekho to ek aalam hai raushan magar socho to har-su tirgi hai har ek patthar ko hira kyon samajh len har ek patthar agarche didani hai kabhi aaram-e-jaan thi khud-kalami 'shamim' ab ye azab-e-zindagi hai