ab jo barsa abr-e-gham aisa kabhi barsa nahin dil bhi duba sath mein ghar hi faqat duba nahin ai thake-mande musafir ja yahan se dur ja waqt wo diwar hai jis ka kahin saya nahin kya tamasha hai ki ab har shakhs ko ye wahm hai sab se main uncha hun mujh se koi bhi uncha nahin ab jo pahchane to kyunkar koi pahchane mujhe baat itni hai ki ye chehra mera chehra nahin qaid kar leti hai mujh ko kyon chaman ki har kali main faqat rang-e-chaman hun bu-e-awara nahin dida-o-dil ke dariche band kar so ja 'shamim' rang-o-bu ka aaj bhi jhonka idhar aaya nahin