abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa nasha utarne se pahle meri sharab mein aa dhanak si khwab si khushbu si phir baras mujh par nai ghazal ki tarah tu meri kitab mein aa utha na der tak ehsan mausam-e-gul ka main zindagi hun mujhe ji mere azab mein aa wo mere lab ke parinde wo tera jhil-badan bujha na pyas meri tu magar sarab mein aa tere dariche se hai dur mera darwaza agar tu dard hai mera to dil ke bab mein aa main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi meri ana ka bharam rakh le mere khwab mein aa