achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar bhi le chalo sab ja rahe gulab se chehre liye hue tum aainon ke shahr mein patthar bhi le chalo yun kam nahin hai shirin-bayani hi aap ki chaho to aastin mein khanjar bhi le chalo mujh ko kisi yazid ki baiat nahin qubul neze ye rakkho aao mera sar bhi le chalo kya jaane kaise khwab sajaane paden ai 'shauq' aankho mein ek hasin sa manzar bhi le chalo