abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskuraun to harj kya hai

abhi hai mausam ghamon ka lekin main muskuraun to harj kya hai
ki nauha-khwani ke daur mein ek ghazal sunaun to harj kya hai

dikhana hai aaftab ko ye ki kaun hai meri shab ka sathi
main sham hone se qabl hi ek diya jalaun to harj kya hai

hai diqqaton se bhara safar jab nahin hai koi bhi sath mere
to apne sae ko main agar ham-safar banaun to harj kya hai

lagi hain pabandiyan mulaqat par ye sach hai kai dinon se
magar main raaton ko tere khwabon mein aaun jaun to harj kya hai

zamana pichhle zamane ko yaad kar ke rahta hai khoya khoya
magar main agle dinon ki fikron mein dub jaun to harj kya hai

farebi hai ye zamana mujh ko hamesha deta raha hai dhoka
agar main khud se hi aaj 'anjum' fareb khaun to harj kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close