andesha-ha-e-roz-e-mukafat aur main is dil ke be-shumar sawalat aur main khalq-e-khuda pe khalq-e-khuda ki ye dar-o-gir hairan khuda-e-arz-o-samawat aur main kya thi khushi aur us ki thi kya qimat-e-kharid ab rah gae hain aise hisabaat aur main har lahza zindagi ki inayat aur wo har lamha ek marg-e-mufajat aur main pahle sadaqaton ke wo parchaar aur dil ab qaul-o-feal ke ye tazadat aur main haarungi main hi mujh ko ye wahm-o-guman na tha aapas mein jab harif the haalat aur main hamraaz-o-ham-sukhan tha magar is ke bawajud takrae mere dil ke mafadat aur main