abhi hayat ka mahaul sazgar kahan bhala huzur kahan aur ye khaksar kahan bas ek rasm-e-mulaqat aaj baqi hai kisi ke dil mein kisi ke liye bhi pyar kahan khayal-e-yar hai wajh-e-sukun-e-dil lekin khayal-e-yar kahan jalwa-gah-e-yar kahan suna hai yun to chaman mein bahaar aai hai gulon ke rukh pe magar raunaq-e-bahaar kahan tumhin ne khair se mukhtar-e-kul banaya hai tumhin batao ki hum ko hai ikhtiyar kahan nigah-e-mast se tu ne kabhi jo dekha tha wo lamhe zist mein milte hain bar bar kahan na ku-e-yar chale hain na su-e-dar 'hayat' na jaane hum bhi chale hain pas-e-ghubar kahan