ye jazba-e-talab to mera mar na jaega tum bhi agar miloge to ji bhar na jaega ye iltija dua ye tamanna fuzul hai sukhi nadi ke pas samundar na jaega jis zawiye se chaho meri samt phenk do mujh se mile baghair ye patthar na jaega dam-bhar ke waste hain bahaaren samet lo viraniyon ko chhod ke manzar na jaega yun khush hai apne ghar ki fazaon ko chhod kar jaise wo zindagi mein kabhi ghar na jaega us ko bulandiyon mein musalsal uchhaaliye lekin wo apni satha se upar na jaega shahr-e-murad mil bhi gaya ab to kya 'hayat' mayusiyon ka dil se kabhi dar na jaega