abhi husn khud se hai be-khabar abhi ishq bhi hai nihan nihan na hain qisse raaz-o-niyaz ke na fasane dil ke zaban zaban kabhi bhul sakta hun ham-nashin wo nigah-e-ulfat-e-awwalin wo saman tha kitna hasin hasin thi wo shab bhi kitni jawan jawan tere ishq ne mujhe kar diya gham-e-do-jahan se hi be-niyaz ki mein khar-zar-e-hayat se bhi guzar raha hun rawan rawan mere dil ka haal jo ho so ho tere lab ka ghuncha khila rahe rahe girti nazron ki bijliyan mera chahe kanpe ruwan ruwan kabhi jangalon mein bhatak gae kabhi sair ki hai chaman chaman teri yaad dard kasak magar rahi sath sath yahan wahan na haram mein tera nishan mila na sanam-kade mein koi pata ki na jaane teri talash mein main phira bhatakta kahan kahan tere husn-e-sabr-gudaz ki nahin tab is dil-e-zar ko mera bah gaya wo ghurur-e-ishq main raha hun kitna kashan kashan ye teri ne badal diye mere raste meri manzilen ye jahan jahan mujhe le chali main chala 'habib' wahan wahan