apne haal-e-dil pe khud hi muskura sakta hun main kab kisi ke rahm ka ehsan utha sakta hun main aashiyan ko phunk sakti hai agarche bijliyan shakh-e-gul par bar bar is ko bana sakta hun main dastan-e-gham ko kah sakta hun sirf ek aah main aur tum chaho to afsana bana sakta hun main tum agarche bakhsh sakte ho mujhe tanhaiyan apni tanhai ko bhi mahfil bana sakta hun main be-rukhi se tod sakte ho dil-e-nazuk ko tum aur shikasta-saz dil par gunguna sakta hun main har qadam par zist ne aa kar jhinjhoda hai mujhe zindagi se kya kabhi aankhen chura sakta hun main itni dekhi hain bahaaren itni dekhi hai khizan ab to in ka farq bhi dil se mita sakta hun main tum ko ye dawa ki tum har anjuman ki jaan ho zoam hai mujh ko ki har mahfil pe chha sakta ho main wo nigah-e-lutf gar tujh ko mayassar ho 'habib' zindagi ko ek nai manzil pe la sakta hun main