abhi khayal-o-nazar ka ghubar rah mein hai bahaar aa ke rahegi bahaar rah mein hai badhe chalo ki wo manzil abhi nahin aai ye wo maqam hai jis ka shumar rah mein hai hamara kya hai diwane hain kuchh bhi kar guzren yaqin karo ki tumhaara waqar rah mein hai na panw thamte hain apne na hausle dil ke suna hai jab se koi khar-zar rah mein hai nazar lage na kahin us ko chand-taron ki jo ek zarra-e-gardun-shikar rah mein hai