abhi kya umr hai meri wafa ki daraazi chahiye zulf-e-rasa ki kali murjha gai marzi khuda ki bahut shabnam ne ro ro ke dua ki dar-e-pir-e-mughan allahu-akbar barasti hai jahan rahmat khuda ki zara kar but-kade ki sair waiz nazar aane lage qudrat khuda ki koi us ke siwa ho bhi to ai shaikh zarurat kya hai tark-e-ma-siwa ki jo dekhi mere virane ki raunaq to aankhen khul gain baad-e-saba ki banegi ek din apni misal aap wafadari 'shafiq'-e-mubtala ki