khud apni soch ki parchhaiyan daraen mujhe ye dainen ye pichhal-paiyan daraen mujhe zamin girne lagi aasman par logo ki meri dolti binaiyan daraen mujhe ab aainon ke muqabil thahar na paun main ki un ki kuchh nai sachchaiyan daraen mujhe jo kal achambha sa tha dushmanon ki yurish par to aaj apni hi paspaiyan daraen mujhe gurez karta hun zamin ana-paraston se ki un ke zehn ki tanhaiyan daraen mujhe