abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai na jaane kis jahan mein zindagi gum ho gai hai mere hamrah kyun wo shakhs chalna chahta hai safar ke josh mein kya aagahi gum ho gai hai sabhi khush hain ki sare gum-shuda phir mil gae hain mujhe gham hai ki ab teri kami gum ho gai hai mere honton ko dariya ne kiya sairab lekin hayat-afroz dil ki tishnagi gum ho gai hai main us se muddaton ke baad dobara dobara mila hun khushi to hai magar waraftagi gum ho gai hai ye kin tishna-labon ki fauj guzri hai idhar se kahin kuchh kam kahin puri nadi gum ho gai hai hamesha jo mujhe izn-e-sukhan deti rahi thi hujum-e-shor mein wo khamushi gum ho gai hai main us ki yaad se bas ek pal ko gum hua tha magar lagta hai jaise ek sadi gum ho gai hai ba-taur-e-rasm hi kar-e-junun baqi hai mujh mein wagarna dasht se wabastagi gum ho gai hai 'salim' us mein ziyaada farq to ab bhi nahin hai bas itna hai ki thodi sadgi gum ho gai hai