abhi mujhe ek dasht-e-sada ki virani se guzarna hai ek masafat khatm hui hai ek safar abhi karna hai giri hui diwaron mein jakde se hue darwazon ki khakistar si dahlizon par sard hawa ne darna hai dar jaana hai dasht-o-jabal ne tanhai ki haibat se aadhi raat ko jab mahtab ne tariki se ubharna hai ye to abhi aaghaz hai jaise is pinha-e-hairat ka aankh ne aur sanwar jaana hai rang ne aur nikharna hai jaise zar ki pilahat mein mauj-e-khun utarti hai zahr-e-zar ke tund nashe ne dida-o-dil mein utarna hai