abhi na kijiye zahmat naqab uthane ki nazar mein tab nahin hai nazar milane ki hamare hath mein bas ek tumhaara daman hai tumhaare hath mein taqdir hai zamane ki hamare pahle tumhein kaun sar jhukata tha hamin ne rasm nikali hai sar jhukane ki hujum-e-barq bhi aa kar qarib laut gai kamal kar gai taqdir aashiyane ki chaman mein apne nasheman ki zindagi kitni rakhi hai barq pe buniyaad aashiyane ki nigah-e-naz wahan aasra diya tu ne jahan umid thi kashti ke dub jaane ki chamak hi jaoge duniya mein ek din 'nayyar' ghulami karte raho un ke aastane ki