aman na pai gham-o-fikr se kabhi maine

aman na pai gham-o-fikr se kabhi main ne
isi ghutan mein guzari hai zindagi main ne

kisi ke naqsh-e-qadam pe jhuka ke sar apna
buland kar liya mear-e-bandagi main nai

gham-e-hayat ne bakhsha shuur jine ka
isi andhere se pai hai raushni main ne

tu ek karb ka dariya hai aur kuchh bhi nahin
tujhe qarib se dekha hai zindagi main ne

tufail-e-rahmat-e-alam muaf kar mujh ko
mere karim khata ki hai waqai main ne

kisi hasin ki amanat samajh ke ai 'nayyar'
gale lagaya hai gham ko khushi khushi main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close