abhi ruswaiyon ka ek baDa bazar aaega

abhi ruswaiyon ka ek bada bazar aaega
phir is ke baad hi wo kucha-e-dildar aaega

watan ki ek taswir khayali sab banate hain
khabar lekin nahin kya is mein ku-e-yar aaega

gul-e-shakh-e-mohabbat par lahu ka rang khilta hai
ki ab rang-e-hina zikr-e-lab-o-rukhsar aaega

hamare waste bhi saat-e-hamwar thahregi
ki rah-e-shauq mein jis dam wo na-hamwar aaega

abhi aab-o-hawa-e-jism ke asrar khulte hain
abhi wo todne is jism ki diwar aaega

karo ahl-e-junun kuchh to karo saman-e-dildari
ki shahr-e-ishq mein wo shokh pahli bar aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close