abhi se naqsh-e-hairat ban gae kya dekhne wale tajalli chahne wale tamasha dekhne wale nahin kam josh-e-wahshat ka tamasha dekhne wale junun to khud hi kar leta hai paida dekhne wale lihaz-e-tab-e-dil ai be-mahaba dekhne wale pasheman bhi hue hain un ka jalwa dekhne wale sada-e-lan-tarani ab sala-e-manyarani hai karen tab-e-dil-o-dida muhayya dekhne wale dil-e-nazzara jo sadqe teri shan-e-tajalli par ba-har-surat hain mahrum-e-tamasha dekhne wale abas hai dida-o-dil ko gila be-iltifati ka abhi hain na-shanas-e-ramz-o-ima dekhne wale 'rashid' aakhir karun kis kis se sharh-e-ibtila-e-dil na kar lun jama kyon misl-e-zulekha dekhne wale