sukun mein kaise bhala taliban-e-zat rahen jab aap yunhi pas-e-parda-e-sifat rahen agar na aap pas-e-parda-e-sifat rahen na mumkinat hi thahren na wajibaat rahen wo khak-e-dar ho agar zinat-e-jabin-e-niyaz hamin ko haq hai ki masjud-e-kaenat rahen hai khizr kaba-e-irfan yaqin ki yak-rangi sanam-kade mein khirad ke tawahhumat rahen ulajh ke rah gai zarron mein fikr-e-nau-e-bashar kahan ye mahram-e-asrar-e-kaenat rahen tawaf-e-shams-o-qamar muntaha-e-fikr-o-nazar junun ye hai ki khudawand-e-kaenat rahen durust mujh se nahin shikwa-e-kam-amezi main chahta hun ki qaem talluqat rahen kabhi inayat-e-ahbab ki tamanna thi ab aarzu hai ki mahrum-e-iltifat rahen 'rashid' aish agar ho nasib-e-ahl-e-hunar to kis ke ho ke zamane ke hadsat rahen