abhi se taq-e-talab par na tu saja mujhko

abhi se taq-e-talab par na tu saja mujh ko
abhi to karna hai is dil se mashwara mujh ko

abhi shabih mukammal nahin hui teri
abhi to bharna hai ek rang-e-mawara mujh ko

koi na koi to surat nikal hi aaegi
zara batao to darpesh marhala mujh ko

ye baat baat pe takrar-o-bahs kya karna
ki jitna hai tumhein aur haarna mujh ko

main us ki zat mein shamil thi, us ko mil jati
dua-e-khair samajh kar wo mangta mujh ko

main jis mein dekh ke khud ko sanwar lun 'nahid'
abhi mila hi kahan hai wo aaina mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close