fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan aaj bhi hai haq-bayani ka sila dar-o-rasan aaj bhi hai pasbanan-e-chaman ki rawish-e-korana wajh-e-ruswai-e-ain-e-chaman aaj bhi hai mai-e-pindar ke do ghunt ki bardasht kise tha jo pahle wo bahakne ka chalan aaj bhi hai rahnuma hain ki sar-e-rah ade baithe hain karwan hai ki saza-war-e-mehan aaj bhi hai waqt ke nabz-shanason se kaho tez chalen khud-farebon ki jabinon pe shikan aaj bhi hai kar chuka hai jo har ek daur mein tiryaq ka kaam mere saghar mein wahi zahr-e-sukhan aaj bhi hai wahi 'mahshar' jo nigahon mein khatakta hi raha apni bebak-bayani pe magan aaj bhi hai